Piece of My Heart
by Harsha Anand
[Harsha is working with Patni Computer Systems, Mumbai, India. He loves to write Shayari during leisure.]
Zindagi mein kabhi to Humein yaad karoge,
Mehfil mein nahi, Tanhai mein fariyaad karoge,
Humsa na mila, na Milega koi,
Kabhi to apni qismat par Naaz karoge.
Yun duur rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Hume Hasne-Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili,
Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki aadat hai.
Yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
Aap nahi to aapki taswir chahiye,
per taswir aapki hamaara dil behla na sakegi,
Kyonki yeh aapki tarah muskura na sakegi.
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua Jalim,
Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna Hai.
Hum apni wafawon ka sila kis se mangtay,
Hum hi be-wafa the, toh wafa kis say mangte.
Khud hee to kee thi hum ne apnay Rab say baghawat,
Phir hum jo duwa mangtay, to kis se mangte.
Jo they Kareeb Dil ke wo bhi dushman-e-jaan they,
Is Dil ki duwa mangtay, to kis se mangte.
Mahboob jo tha wo bhi to naraz tha hum se,
koi shokh ada mangtay, to kis se mangte.
Jo waqt guzar jayee woh wapis nahi aata,
Woh gujra waqt mangte, toh kis se mangte.
hum us kee justajoo main hue khud se be-gaane,
Hum ghar ka pata mangtay, to kis say mangtay.
0 Comments:
Post a Comment
<< Home